Pages

Sunday, March 10, 2013

Kisi ki yaadon me hum khoye rahete hai,
bhulana chahe magar, hum bhala na pate hai.
Chahte toh nahi the ke hum yuh diwaane banege,
lekin jo hum chahe wo har pal hota bhi toh nahi.
Tanhaa rahene ki chahat kisi ko nahi hoti,
magar har pal har koi kisi ke saath hota bhi toh nahi.

Jaruri toh nahi


Kisi ki yaadon me rahena bura toh nahi,
kisi ke liye jina bura toh nahi.
Mohhabat karte hai unse,
yeh unhe batana jaruri toh nahi.
Dil ki baaten dil hi samj le,
unhe lafazo se bayan karna jaruri toh nahi.
Yuhi bethe bethe kuch likhata jau,
iske liye kisi ko dil me basana jaruri toh nahi..........